Karam maangta huwa Ataa maangta huwa Shahedi ki ulfath Sadaa maangta huwa Mai huwa mubtala Marze isiya me Maula Mohammed ke sadqe Shifa maangta huwa Meri zindagi unki Ulfath me guzre Dar e Mustafa par Qaza maangta huwa Nazar me basa hai Tere ghar ka jalwa Sare hashr behatar Likha maangta huwa Jahaan bar me hai Sab musalman pareshan Duwa me unhi ka Bhala maangta huwa Meri zindagi ka Yehi ek unwaan Ke mai Shahedi ki Willa maangta huwa Tere dar ka sahil Hai Shakir khudaya Mai tujse hi teri Raza maangta huwa