zamin o zaman tumhare liye; makin o makan tumhare liye chunin o chunan tumhare liye; baney do jahan tumhare liye dahan mein zuban tumhare liye; badan mein jan tumhare liye hum aye yahan tumhare liye; uthen bhi wahan tumhare liye tumhari chamak; tumhari damak; tumhari jhalak tumhari mahak zamin o falak; simak o samak mein sikka nishan tumhare liye ye fayz diye wo jud kiye ke nam liye zamana jiye jahan ne liye tumhare diye ye ikramiyan tumhare liye sahab e karam rawana kiye, ke ab niam zamana piye jo rakhte the hum wo chak siye, ye satr e badan tumhare liye jinan mein chaman chaman mein saman; saman mein phaban, phaban mein dulhan sazaye mihan pe ayse minan ye amn o aman tumhare liye khalil o naji masih o safi sabhi se kahi kahin bhi bani ye be khabari ke khalq phiri kahan se kahan tumhare liye ishare se chand chir diya ; chupey huwey khur ko pher liya gaye huwe din ko asr kiya; ye tab o tawan tumhare liye saba wo chale ke bagh phale wo phool khile ke din hon bhale liwa ke tale sana mein khule raza ki zaban tumhare liye