Mangton ko sultan banaya mere kamli walay ne Jab apna darbar lagaya mere kamli walay ne Mal-o-zar ki bat nahin he sab ye karam ki batain hain Jis ko chaha dar pe bulaya mere kamli walay ne Jis per apna rang charhaya mere kamli walay ne Data farid or khuaja banaya mere kamli walay ne Baara rabi ul awal ke din noor-e-khuda ki kirno se amna tera gher chamkaya mere kamli walay ne Jitna kharch mai karti jao utna barhta jaye hai Baksh dia aisa sarmaya mere kamli walay ne Unka ziker kertay kertay neend ali jab ai mujhay Mujh ko apna jalwa dikhaya mere kamli walay ne