Lab pe salle alaa ke taraane ashk aankhoon main aaey huway hain yih hawaa yih fazaa keh rahi hai Aaqa Tashirif laay huway hain jin ki khatir yih aalam banayaa Banaayaaa apne ghar jin ko rab ne bulayaa ae haleemah yih teraa muqaddar woh tere ghar main aaey huway hain aql waley zameen par hain shashdar chaand tukrey huwaa hai falak par sari dunyaa hai mehwey nazaraa aap ungli uthaaey huway hain kaisey keh doon woh haazir nahaeen hain kaisey manoon yih mumkin naheen hai is se barh kar subuut aur kyaa ho woh tasawur main aaey huway hain aaj porii huii dil kii hasrat kiyoon na jii bhar ke kar loon ziyaarat Aae Farishtoon qabar mein na aanaa mere sarkaar* aae hue hein naam nabyoon ke be shak barhe hein azmatoon ke nageine jarhe hein muqtadii ban ke peche kharhe hein wuh jo pehle se aae hue hein main madiine kii galyoon pe qurbaan jin se guzre hein shahe madiinah is tarah se mehkteen hein raste itrr jese lagaae hue hein choorh kar dar badar kaa thikaanah ae amaaal un ke darpar he jaanaa ham selaakgoon buroon ko jo apnaa khaas mehmaan banaae hue hein