Balaghal ula bi kamalihi kashafad duja bijamaalihi Hasunat jami okhisalihi sallu alaihi wa aalihi Woh kamaal-e-husne-huzoor hai ke gumaan-e-naks jaha nahi Yehi phool khaar se door hai yehi shamma hai ke dhua nahi Mein nisaar tere kalaam par milee youn to kiss ko zubaan nahi Woh sukhan hai jis mein sukhan na ho wo bayan hai jis ka bayan nahi Ba khuda khuda ka yehi hai dar nahi aur koi maffar maqqar Jo waha say ho yaheen aake ho jo yahan nahi to wahan nahi Tere aage youn hain dabbe lache fusaha arab ke barre barre Koi jaane mu mein zubaan nahi nahi balke jism mein jaan nahi Sar-e-Arsh par hai teri guzar dil-e-farsh par hai teri nazar Malakoot-o-mulk mein koi she nahi woh jo tujh pe aayan nahi Karoon tere naam pe jaan fida na bus aik jaan do jahaan fida Do jahaan say bhi nahi ji bhara karoon kya karoro jahaan nahi Karoon madh-e-ahle doal Raza parre is balaa mein meri balaa Mein gadaa hoon apne kareem ka mera deen para-e-naa nahi