Qadri astana salamat rahe Mustafa ka gharana salamat rahe Pal rahe hai jhan se ye dono jaha Wo sakhi astana salamat rahe Dard mando ke sir par hai saya figan Aap ka shamyana salamat rahe Tum se mansoob hai zindagi ka nisaab Hashar tak ye fasana salamat rahe Ye naqeerain bole mujhe qabr me Mustafa ka diwana salamat rahe Hukm tha ke ada ho namaze pachaas Aap ka aana jana salamat rahe Itrate Fatima par Ujager Nisaar Sayyeda ka gharana salamat rahe