Mujhpe Kyun Band Karte Ho Pani Ya Hussain x3 Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain Ya Hussain Mere Nana Nabi, Meri Maa Sayyada Mera Baba Ali, Mera Bhai Hasan Hum Hi Hain Panjatan, Hum Hi Hain Panjatan, Meri Kya Hai Khata, Meri Kya Hai Khata Meri Kya Hai Khata, Meri Kya Hai Khata Mujhpe Kyun Band Karte Ho Pani Kiya Muhammad Ka Pyaara Nahin Hoon Mujhpe Kyun Band Karte Ho Pani Kiya Muhammad Ka Pyaara Nahin Hoon Kya Main Zahra Ka Jaya Nahin Hoon x3 Kya Nabi Ka Nawasa Nahin Hoon Mujhpe Kyun Band Karte Ho Pani Kiya Muhammad Ka Pyaara Nahin Hoon Mujhpe Kyun Band Karte Ho Pani Kiya Muhammad Ka Pyaara Nahin Hoon Mere Nana Ne Kalma Sikhaya Aur Quran Tumko Sunaya x2 Kya Main Nana Ka Saaya Nahin Hoon x3 Kya Nabi Ka Nawasa Nahin Hoon Mujhpe Kyun Band Karte Ho Pani Kiya Muhammad Ka Pyaara Nahin Hoon x2 Wo Madina Jahaan Mera Ghar Hain Aur Masjid Main Us Ghar Ka Dar Hai x2 Kya Mein Us Ghar Main Khela Nahi Hoon x3 Kya Nabi Ka Nawasa Nahin Hoon Mujhpe Kyun Band Karte Ho Pani Kiya Muhammad Ka Pyaara Nahin Hoon x2 Chakkiya Pees Kar Maa Ne Paala Mujhko Nana Ne Jhula Jhulaya x2 Apna Bachpan Main Bhula Nahi Hoon x3 Kya Nabi Ka Nawasa Nahin Hoon Mujhpe Kyun Band Karte Ho Pani Kiya Muhammad Ka Pyaara Nahin Hoon x2 Kamli Wale Ke Lab Chumta Tha Kitna Pyaara Mera Bachpana Tha x2 Kya Main Unka Dulhara Nahi Hoon x3 Kya Nabi Ka Nawasa Nahin Hoon Mujhpe Kyun Band Karte Ho Pani Kiya Muhammad Ka Pyaara Nahin Hoon x2 Main Jo Paani Kabhi Maangta Tha Kyun Tarapti Thi Maa Ab Main Samjha x2 Paas Asghar Ke Jaata Nahi Hoon x3 Kya Nabi Ka Nawasa Nahin Hoon Mujhpe Kyun Band Karte Ho Pani Kiya Muhammad Ka Pyaara Nahin Hoon x2 Main Jo Chahun Baras Jayen Badal Khoon Main Duba Nazar Aaaye Maqtal x2 Jang Karne Main Aaya Nahi Hoon x3 Kya Nabi Ka Nawasa Nahin Hoon Mujhpe Kyun Band Karte Ho Pani Kiya Muhammad Ka Pyaara Nahin Hoon x2 Kya Main Zahra Ka Jaya Nahin Hoon x3 Kya Nabi Ka Nawasa Nahin Hoon